Geeta Saar for Software Engineers, Developers and Programmers

Corporate employees today are in the grip of tension. They are probably the most worried lot out there. There life is full of sorrow and uncertainty. But the good news is that you too can be happy like others if you incorporate this new Geeta saar into your life. Here is the Gita saar in Hindi for software engineers, developers, programmers, coders and other corporate employees.

HEY PARTH ……..

Increment nahin mila, bura hua

Salary cut ho rahi hai, bura ho raha hai

Retrenchment hoga, wo bhi bura hi hoga…

Tum pichhla review na hone ka paschataap na karo

Tum agle review na hone ki chinta na karo

Recession chal raha hai…

Tumhari pocket se kya gaya jo tum rote ho?

Tum company ke liye kya business laye the jo tumne kho diya?

Tumne aisa kaun sa product banaya tha jo scrap hogaya?

Tum koi experience le kar nahin aaye the…

Jo experience liya company se liya…

Jo project kiya company ko diya…

Degree le kar aaye, experience lekar chale…

Jo function aaj tumhara hai,

Kal kisi aur ka tha… parson kisi aur ka hoga…

Tum isse apna samajh kar magn ho rahe ho

Bas yahi khushi tumhari tension ka karran hai…

Kyon wyarth tension lete ho, kis se wyarth darte ho

Kaun tumhein nikaal sakta hai?

Policy change company ka rule hai

Jise tum policy Change kehte ho, Wahi to trick hai…

Ek pal mein tum millionare ho jaate ho

Doosre hi pal mein tum stipend par aa jate ho…

Review, increment etc. etc. man se hata do

Vichar se mita do phir company tumhari hai, tum company ke ho…

Na yeh Increments tumhare liye hain, na tum iske kabil ho

Parantu job secure hai, phir tumhein tension kyon hai

Tum apne aap ko Company ko arpit karo

Yahin sabse bada Golden Rule hai…

Jo is Golden Rule ko janta hai

Wo review, incentive, recession se sarvada muqt hai. .